ahal-e-daval main dhoom thi roz-e-saeed ki
muflis ky dil main thi na kiran bhi ummid ki
itny main aur charkh(Sky) ny matti palid ki
bachchy ny muskura ke khabar di jo eid ki
fart-e-mihan se nabz ki raftar ruk gai
MAA-BAAP ki nigah uthi aur jhuk gai
ankhain jhukin ki dast-e-tihi par nazar gai
bachchy ky val-valon ki dilon tak khabar gai
zulf-e-sabat ghum ki hawa sy bikhar gai
barchhi si ek dil se jigar tak utar gai
donon hujuum-e-gam se ham-agosh ho gaye
ik duusare ko dekh ke khamosh ho gaye
dast-e-tihi = empty hands;
val-vale = enthusiasm
sabat = patience;
barchhi = spear
fart-e-mihan = wave of sorrow;
nabz = pulse
ahal-e-daval = rich people;
roz-e-saeed = festive day
muflis = poor/poverty/stricken;
charkh = sky (referring to god)
hujuum = crowd;
ham-agosh = embraced
muflis ky dil main thi na kiran bhi ummid ki
itny main aur charkh(Sky) ny matti palid ki
bachchy ny muskura ke khabar di jo eid ki
fart-e-mihan se nabz ki raftar ruk gai
MAA-BAAP ki nigah uthi aur jhuk gai
ankhain jhukin ki dast-e-tihi par nazar gai
bachchy ky val-valon ki dilon tak khabar gai
zulf-e-sabat ghum ki hawa sy bikhar gai
barchhi si ek dil se jigar tak utar gai
donon hujuum-e-gam se ham-agosh ho gaye
ik duusare ko dekh ke khamosh ho gaye
dast-e-tihi = empty hands;
val-vale = enthusiasm
sabat = patience;
barchhi = spear
fart-e-mihan = wave of sorrow;
nabz = pulse
ahal-e-daval = rich people;
roz-e-saeed = festive day
muflis = poor/poverty/stricken;
charkh = sky (referring to god)
hujuum = crowd;
ham-agosh = embraced